Thanks to visit codestin.com
Credit goes to www.scribd.com

0% found this document useful (0 votes)
29 views15 pages

Forex Basic

The document provides an overview of the Forex market, explaining its significance as a platform for trading currencies and commodities, with a daily trading volume of 7 trillion dollars. It outlines various trading types, including optional, spot, and future trading, and emphasizes the importance of market analysis through fundamental, technical, and sentimental methods. Additionally, it covers concepts such as lot size, pips, margin, equity, and risk management strategies essential for successful trading.

Uploaded by

sadaqtali003
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
29 views15 pages

Forex Basic

The document provides an overview of the Forex market, explaining its significance as a platform for trading currencies and commodities, with a daily trading volume of 7 trillion dollars. It outlines various trading types, including optional, spot, and future trading, and emphasizes the importance of market analysis through fundamental, technical, and sentimental methods. Additionally, it covers concepts such as lot size, pips, margin, equity, and risk management strategies essential for successful trading.

Uploaded by

sadaqtali003
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 15

Chapter 1

Forex basically word nikla hei Foreign Exchange sei jiska urdu mei matlab hei “Bairuni
Tabadla” Yei market asal mei barry paimany pei trade karny ke liye bnayi gayi thi lekin abb ismei
bohot barri tadaad mei choty traders bhi trade krty hein

Apne aksar news mei suna hoga kei.... "Almi Mandi me sony ki qeemton me Izaafa" wo aalmi
mandi Forex he hei. Even ke Pakistan Jis IMF se qarzy leta hei Wobhi Forex he hei. Forex aik aisa
platform Hei jahan par paisy se paisa banaya jata hei or Hazaron Lakhon nai balky Croron log
Yaha pe daily Trade krty Hein. Forex me aik din mei 7 Trillion Dollar ki trade hoti hei Jo ke itni
zyada hei ke 100 Pakistan khareedy ja sakty Hein

1 Million = 10 Lakh

1000 Million = 1 Billion

1000 Billion = 1 Trillion

Forex aik product based market hei Jisky backend pe koi na koi physical product hota hei like
Gold, Silver, Crude Oil, Coal, Natural Gas, Apple, YouTube, Netflix, etc. Hum in products me
Trade kr ke Paisa kamaty Hein

Example: Jese apko pata chal jye ke plots ki qeemat increase hony wali hei to ap 50 lakh ka aik
plot khareed ke rakh lete Hein or Kuch months ke Baad usy sale kr ke profit kama lete Hein

Yahan bhi Bilkul aisa he hei, Gold ki price barhti he hei kabhi Kam ni hui to hum isme Gold pe
Trade krty Hein lekin faraq Sirf itna hei ke Yaha pe humei plots ki trah maheenoooo wait ni krna
parta Yaha to har 1 second ke Baad price change horyi Hoti hei

1
Yaad rahy Forex Jo hei yei Demand and Supply pe base krti hei. Means Jis product ki demand ya
customer zyada Hoga market mei uski price Increase hojye gi or ap sasty me trade laga ke mehangy
me close kr ke profit bana skty Hein. Aik or baat Yaad rahy kei Yaha pe qadam qadam pe
opportunity Mily Gi apko market se profit banany ke liye, ye apko find krna hei ke konsi
opportunity muje suit krti hei or mei usme Trade kr sakta hu bss or isme koi Rocket Science nai
hei

"Trading is not Easy but Simple"

2
Chapter 2

Financial Market:

Hum abb sei Financial Market mei kam karny waly hein jiski 3 major categories hein;

1. Crypto Currency
2. Forex Trading
3. Share Market

Crypto Currency:

Ye aik virtual currency hei like Bitcoin jiski value aj ki date mei 29,000 dollar se zyada
hei. Iska matlab ye hei kei ye currency physically to exist nahi karti lekin iss digital number pe
logon nei apna cash itna invest kr diya hei kei iski value 29,000 dollar ho chuki hei. Ab agar ye
exist he nai krta to phir ye jo paisa invest kiya he logon nei wo kaha jaata hei??? Iska simple sa
answer ye hei kei wo paisa kahi nai jaata market me he float krta hei jispe kisi ko loss or kisi ko
profit hota hei. Orr kya market apni jaib sei paisa thori dei gi apko?.....

Forex Trading:

Ye aik real market hei means product based market hei. Jo paisa invest kiya jata hei usky
backend pei koi na koi physical product hota hei. Or sabse important baat ye hei kei ye market
Demand and Supply pe base krti hei. Jis trah petrol ki demand zyada hony pei iski qeemat barhti
hei usi trah is market me bhi jis product ki demand barhy gi definitely uski price bhi barhy gi

Share Market:

Har company ka aik saalana turnover hota hei jiski base pei usky share ki price barhti hei.
Iska matlab ye hei kei agar koi company zyada paisa kamaa rahi hei to usky share ki price bhi

3
barhy gi. For Example; Apple apna iphone 15 launch krny wali hei to iska matlab hei apple ka
turnover barhy ga, agar turnover barhy ga to isky share ki price bhi barh jye gi

Abb baat krty hein Forex market ki. Forex Trading further 3 types ki hoti hei;

1. Optional Trading
2. Spot Trading
3. Future Trading

Optional Trading:

Ismei betting ki jati hei kei market itny time ke liye iss point se agay ya peachy nahi jaye
gi. Means gold agly 30 minutes tkk 1960 ki price se neechy nahi aye ga. Agar to aisa hojata hei to
apko profit hojye ga or agar 30 minutes se pehly neechy aa gyi to apko loss hoga. Muslims ye kam
nahi krty lekin Christine or Hindu is kam se bohot paisa kamaty hein. Isi liye apko YouTube pe
zyada tarr optional trading milti hei

“Agli baat samajhny ke liye apko aik chez samjhata hu saada si example ke sath. Farz krein apko
aik plot lena hei jiski qeemat 50 lakh hei. Apne property dealer ko token dei ke wo plot apny naam
pe reserve krwa liya. 1 month ke baad plot ki price 5 lakh increase hogyi or ap dealer ko 50 lakh
dei ke wo plot apny naam kr lein gei”

Spot Trading:

Yehi plot wali example ko mind me leke ayen. Jab ap ne 1 month ke baad dealer ko 50
lakh diya to us time plot ki asli qeemat 55 lakh thi lekin apne kitna diya 50 lakh. Agar wo dealer
spot trade kr raha hota to wo apse 55 lakh leta or apko koi profit na hota

Future Trading:

4
Usi example ko continue krty hein. Uss dealer ne apse 55 lakh ki bjaye 50 lakh liya to iska
matlab apne future trade ki hei or 1 month me apne 5 lakh ka profit kiya hei wo bhi bina kisi risk
kei

5
Chapter 3

Market Analysis:

Trading mei Kisi ke kehny pe ya ese he muh utha ke trade nai lgayi jaati. Pehly market ko
dekhna hota hei analysis krna hota hei phir trade krty Hein

Market Analysis 3 types kei hoty Hein

1. Fundamental Analysis

2. Technical Analysis

3. Sentimental Analysis

Fundamental Analysis:

Ye wo analysis hota hei Jo news ko dekh kei Kiya jaata hei. Proper research kr ke Demand
and Supply dekh kei phir trade ki jati hei. Is kaam ke Liye different websites use Hoti Hein unmei
se sabse achi hei "Forex Factory" Yahan pe daily bases pei news or data aata hei Jo market ko
affect krta hei. Yahan se dekh ke aap asaani sei trade kr skty Hein

Technical Analysis:

Ye wo analysis hei jisme Charts ko dekh kr, History ko dekh kr trade ki jati hei. ap Jo Meri
stories dekhty Hein usmei Kuch tedhi medhi lines Nazar ati Hein apko. Wo Technical Analysis
hein jiski base pe muje market ka pata chalta hei or mei Trade krta hu

Sentimental Analysis:

6
Ye wo analysis hei jismei fundamental or technical dono aty hein. Ap news ko dekh kei
trade krty hein or apki confirmation 50% hojati hei or jab ap technical bhi krty hein sath mei to
apki confirmation 80% hojati hei or apky loss krny kei chances bohot kam reh jaty hein

Abb agar dekha jaye to trade krny ke liye dono analysis zaroori Hein. Baaz oqaat apko technical
ka or baaz oqaat apko fundamental ka Sahara Lena parta hei. But inko karny ka aik proper tareeka
hota hei or Hazaron strategies hoti Hein. Har trader ki apni psychy or apni strategy Hoti hei. Apko
bhi apni strategy khud banani hogi apny mind ke hisaab sei

7
Chapter 4

Lot Size:

Sabse pehly to ye baat samajh lein kei Lot ka har gizz Matlab ye nai hei ke lot size ke
barabar dollars ki trade lgi hei. Ye to just aik Paison ka size hei means 1 lot ka Matlab 10 dollar, 2
lots ka matlab 20 dollar…… Ab zra soch ke btayein 5 lots ka Kya matlab Hoga...... Ge Bilkul 50
dollar

Lot size 3 types ki Hoti Hein;

Micro Lot = 0.01 se lei kar 0.09 takk

Mini Lot = 0.10 se lei kar 0.90 takk

Standard Lot = 1.0 sei agay onward....

Abb is ka Matlab hei ke ye lot lagany ka Liye apky account me minimum itna balance hona chahye,
warna apki trade nahi lagy gi. Example ke torr pei Hum aik Mini Lot (0.10) ko lei kei chalty Hein

Gold mei aik Mini lot lagany ke liye apky account mei $200 hony chahye. Abb agar aik micro
lagani hei to iska matlab apky account mei $20 hony chahye

0.01 ki lot = $20 required

0.02 ki lot = $40 required

0.03 ki lot = $60 required

0.04 ki lot = .....(Isi trah plus krty jayein)

8
Yahan pe aik sawaal mind me aata hei ke agar hum barri lot ki trade lgayein ge to profit bhi zyada
Hoga??? Ge Bilkul lot size ke hisaab se apko Profit/Loss Hoga

Choti Lot = Chota Profit

Barri Lot = Barra Profit

Important Chez: Humei kese pata chaly ga ke Kitna Profit/Loss hoga? Agar ap ghorr krein to
Gold ki price kuch iss trah move krti hei jesa ke ye picture me bhi dikhaya gya hei;

1940.00

1940.10

1940.20

1940.30

Is trah so on...

Ab note krny wali baat yei hei kei agar apki Buy ki 1 Mini Lot (0.10) lagi hei to aik point move
krny pe apko 20 dollar ka profit hoga Means;

1940.00 sei 1941.00 Hoga Tabb = 20 dollar profit

Orr agar apki Sell ki 1 Mini Lot (0.10) lagi hei to aik point move krny pe apko 20 dollar ka profit
hoga Means;

9
1940.00 sei 1939.00 Hoga Tabb = 20 dollar profit

Yei to thi just Gold ki Baat, Isi trah Baki sabka ka bhi hota hei or har product ka alag alag hisaab
hota Hei. Abhi ke liye just Gold ko samjhein Kyu ke isi pei hum zyada Trade krny Waly Hein.

10
Chapter 5

Pips:

Abb yahan pei aik orr chez ati hei Pips ka concept. Jesa ke mene apko pehly bataya kei
gold kis trah move krta hei 1940.00 – 1940.10 – 1940.20 …….. Yei jo movement hei na 10, 20,
30 ye Gold ki pips hein.

Gold ki example lete hein;

1940.00 se lei kar 1941.00 takk = 10 Pips

1940.00 se lei kar 1950.00 takk = 100 Pips

Means saada alfaaz mei samjhaon to point ke baad wali value ko Pip kehty hein, But movement
ka khyal rakhna hei ke price kese move krti hei

Yahan pei aik orr Crude Oil ki example lete hein;

Iski price movement is trah hoti hei 80.00 – 79.99 - 79.98 – 79.97 ………. Yei jo movement hei
na 99, 98, 97, 96 yei Crude Oil ki Pips hein jesa kei ye picture me dikh raha hei.

80.00 se lei kar 79.90 takk = 10 Pips

80.00 se lei kar 79.00 takk = 100 Pips

11
Chapter 6

Margin:

Abb aik or concept hei seekhny wala wo hei Margin kya hota hei. Trading ki dunya mei
Margin 2 types ka hota hei;

Used Margin:

Jab bhi aap trade lagaty hein apky total balance mei se utny dollar reserve hojaty hein.
Means agar apne Gold mei aik Mini Lot (0.10) lgayi hei to apky balance mei sei 200 dollar reserve
hojyein gei usy Used Margin kehty hein

Free Margin:

Or reserve hony kei baad jo apka balance bachy ga wo hoga apka Free Margin. Or isi ko
agar percentage mei dekha jye to ye hoga apka Margin Level

Lekin yaad rahy kei used margin ka har gizz yei matlab nahi hei kei apko itna profit ya loss hoga.
Balky iska matlab ye hei kei apny itny dollar ki trade lgayi hei. Jispei apka kuch na kuch profit
loss chal raha hei.

For Example: Apky account mei $500 balance hei or Apne Crude Oil mei aik mini lot (0.10) lgayi
jispe apka used margin hei 150 dollar. Ab apne 50 dollar profit pe wo trade band krdi. Iska matlab
hei kei apne $150 ki trade ki or $50 dollar means 33% profit kiya hei.

Equity:

Abb aik or chez yahan pe samajhny wali hei kei Equity kya hoti hei. Trading ki dunya mei
ap aik trah ka udhar ka kaam kr rahy hoty hein or ye aisa udhar hota hei jo apko chukana he prta
hei.

12
Farz krein apky account mei $500 hei or apki koi trade nahi lagi to apka balance bhi $500 hoga or
equity bhi $500. Lekin agar ap ne koi trade lgayi hui hei or wo $50 profit me jaa rahi hei lekin abhi
apne close nahi ki to ab apka Balance hoga $500 or apki Equity hogi $550. Jese he ap wo trade
close kr dein gei apka balance bhi $550 hojye ga.

Means ke jab tkk aap trade ko close nahi krein gei tab tak apky balance me amount nahi aye gi
chahy wo loss mei hei ya phir profit mei. Han agar apki koi trade loss mei chal ryi hei to apki
equity zero hojati hei to phir apki trades khud he band hojye gi or apka balance bhi zero hojye ga.
Aisa tab hota hei jab Very High risk pe kaam kr rahy hoty hein. Lekin apko Risk management ke
sath kam krna hei.

13
Chapter 7

Risk Management:

Ab mei apko sikhaon ga ke Risk Management kya hoti hei. Trading aisi dunya hei ismei
ap apni marzi se paisa kama sakty hein or apni marazi sei paisa gawaa bhi sakty hein. Market koi
zabardasti nahi karti apke sath yei apky apne hath mei hota hei.

Agar aap Month ki zyada nai sirf 10 Trades krein or wo trades aisi hon kei………. Apka $100 ka
risk ho or $300 ka target ho. To agar apki unn 10 Trades mei sei 7 Loss me bhi chali jyein to phir
bhi ap profitable rahein gei. Chalein isko calculate krty hein;

Risk >>> $100 X 7 Trades = $700 Loss

Target >>> $300 X 3 Trades = $900 Profit

Total >>> $900 – $700 = $200 Net Profit

Isko bolty hein Risk Reward Ratio jo kei 1:3 honi chahiye. Agar ap is strategy ke sath kam krein
gei to ap kabhi bhi loss mei nahi rahein gei

Buy/Sell:

Abb hum seekhien gei Buy/Sell ka concept. Trading ki dunya mei Buy Sell ka matlab
physical dunya wala kaam nahi hei. Ayein isko samajhty hein.

Buy:

14
Trading ki dunya mei Buy ka matlab hei apne aik chez sasty mei khareed ke rakh li hei or
jab isko close krein gei to apko profit loss jo bi hona hua hojye ga. Aap bhi soch rahy hon gei kei
loss kyu????

Dekhein agar apne Rolex ki 50 lakh ki watch Buy ki hei to kuch saal baad wahi watch 60 lakh ki
ap sell kr ke profit bana sakty hein. Lekin agar Gold or Diamond sasta hojye to wahi 50 lakh ki
watch 45 lakh mei sale hogi. Trading me bhi yehi hota hei lekin digital numbers ki shakal mei

Sell:

Trading ki dunya mei Sell ka matlab hei apne ye chez baich di hei lekin paison ka hisaab
abhi close nahi kiya phir jab wo trade close krein gei to apko profit loss jo bhi hona hua hojye ga.
Abb ap ye soch rye hon gei kei mei to sell kr raha hu phir loss kyu???

Dekhein agar apne wahi 50 lakh ki Rolex watch baich di hei to kuch saal baad agar to Gold or
Diamond sasta hua to apko wahi price mily gi 50 lakh (jabke watch ki asli price 45 lakh hogi) or
agar Gold or Diamond mehanga hogya to wahi 50 lakh ki watch phir apse 60 lakh mei li jye gi

Iss table sei apko achy sei samajh aa jye gi kei Buy Sell mei kab or kese profit loss hota hei

BUY SELL
Market Up Profit Market Up Loss
Market Down Loss Market Down Profit

15

You might also like